kahe ye kaise k dil toot gaya h
rahenge kaise k sang chhoot gaya h
karenge kiya kuch baat nahi h
poochenge kiya oukaat nahi h
royenge kaise aansu hi nahi h
jiyenge kaise saanse hi nahi h
maange kiya milta hi nahi jab
koi aayega kiyon apna hi nahi jab
dosh lagaye to lagaye kis par
galti h apni kismat hi aisie
kismat b kaisie har jagah fati si
paiband lage h taanke dikhte h
aansu to nahi par girte tukde h
tukde wo kiske ha apne dil k
kismat me kiya h khona hi likha h
rona b ho to aawaj na karni
maan bana h apna ek chanchal hirni
kahta h de dojo h hi nahi ab
bhula do unko kahte h yahi sab
nahi bhulaye jate jo dil me base h
nahi laye jate jo door base h

written by Asha 

Friendship

Dosti

Dosto Ki Kami Ko Pehchante Hain Hum.
Duniya Ke Ghamon Ko Bhi Jante Hain Hum.
Aap Jaise Dosto Ke Hi Sahare.
Aaj Bhi Has Kar Jeena Jante Hai Hum…

By myrealhope

Zindagi

Zindagi meri bejaar hoti gar Tum na aate ….jab jab aaina Dekti Hun Teri meri kahani ka aks dikhayi deta hai !!!!

by Tulika Shant

Meri Pooja

इतना गर्व है मुझे अपने प्यार पे सच कहता हूँ मैं इस पूरे संसार में की इतना प्यार तुझे कर नहीं सकता कोई दूजा तू ही मेरा प्यार, तू ही मेरी पूजा दूर रहकर भी इतना तू होता है मेरे पास की तेरी यादों की खुशबू बनाती है मेरी हर सांस को ख़ास दिल में एक अलग ही कसक होती है मेरे जो ला नहीं सकता कोई दूजा तू ही मेरा प्यार तू ही मेरी पूजा तेरा होना या ना होना तुझे पाना या खोना , इन् सब सोच से आगे निकल चुका हूँ मैं हर सुब हां की शुरू आत तुझसे और हर रात का आना तुझसे ही करता हूँ मैं मेरे हर ख्वाब में सिर्फ तू ही होता है और कोई नहीं दूजा तू ही मेरा प्यार तू ही मेरी पूजा कोई भी काम अच्छा हो उसमें तू शामिल होता है अगर कहीं भी होता हूँ नाकाम तौ तू ही मेरी हिमात होता है मेरे हर राह की मंजिल सिर्फ तू है और कोई नहीं दूजा तू ही मेरा प्यार तू ही मेरी पूजा अब तू ही बता की क्या करता है तू भी मेरे प्यार को एहसास क्या मैं ही हूँ जिसके लिए तेरे जीवन में है प्यास अगर हाँ तौ तुम भी आ जायो मेरे पास और कह दो मुझे की मैं ही हूँ तुम्हारा प्यार और तुम भी करते हो मेरी पूजा

 by myrealhope

Aisa tum dil ka ehsaas ho

Aisa lagta hai mujhe, jaise har pal tum mere paas ho,
Zindagi bhar saath rahe, aisa tum dil ka ehsaas ho…
Door hokar bhi tum mujhse nahi ho judaaa,
Jeene ki wajeh hain wo har ek pal, jo tumse hai juddaaa…
Kuchh bhi ho tum sabke liye, par mere liye tum khaas ho,
Zindagi bhar saath rahe, aisa tum dil ka ehsaas ho…
Jab bhi hoti hain tumse hum dono ke baare mein baatein,
Tumko sochte-khojte, khojte-sochte naa jaane kab beet jaati hain raatein..
Tum saath ho hamesha tau, sab kuchh mujhko raas ho,
Zindagi bhar saath rahe, aisa tum dil ka ehsaas ho…
Tumse kiya vaade se bani hai humaare vishwaas ki dor,
Ab kareeb aate-aate, ho gayaa hai humaraa rishta mazboot aur…
Lagta hai jaise main jeevan hoon tumhara aur tum iski saans ho,
Zindagi bhar saath rahe, aisa tum dil ka ehsaas ho…
Ab tum hee bataayo ki kyo itna main tumhe hoon chaahta,
Jahaan bhi dekhtaa hoon bus tumko hee taaraf hoon main paata…
Kya tum bhi sochte ho ki main aur mera pyaar har pal tumhaare aaspaas ho,
Zindagi bhar saath rahe, main bhi tumhare dil ka wahi ehsaas ho…

Resource: Love Quotes

 by myrealhope

Teri Deewani

Zindagi mein jab se tu aaya hai meri, naa jaane kya ho gayaa hai mujhe..
haan naa haan naa karte karte shaayad pyaar ho gayaa hai mujhe…

naa tau pair hain mere zameen par aur naa hee aakaash mein uddti hun,
Har baat se, har khwaab se aur har raah se mein sirf tujhse juddti hun..

naa hansti hun, naa roti hun, naa jaagti hun aur naa hee soti hun,
tujhe har pal mehsoos karke, apne har khyaal mein tere saath hoti hun..

tujhse hee bahaar hai, tujhse hee khumaar hai, tu hee saagar hai aur tu hee meri pyaas hai,
ab tau bus tu mil jaaye mujhe mere PREM aur bus tujh sang jeene ki aas hai…

Bus issi armaan ko liye ye kamli kar rahi hai teraa intezaar,
tujhe paane ki kashmakash mein naa jaane kahaan ko gayaa hai mera karaar

Ye tamanna hai ki tu aaye mere kareeb aur kahe pakad ke mera haaath,
“Chal chale iss duniyaa se kahin door aur jee le apni umra saath-saath..

Kho kar ek dusre mein paakar apni khushiyon ko, bitaaye apni iss zindagaani ko”
Phir aaj aaja mere pass ae mere PREM aur paa le apni iss deewaani ko, deewaani ko, deewaani ko…..

by Priya

Source: Poem Sharing Website

Follow

Get every new post delivered to your Inbox.